Books | Categories

Le urha phir koi kheyal hamen

Le urha phir koi kheyal hamen
Saqia saqia sambhal hamen

Ro rehe hain key aik adat hai
Warna itna nahe malal hamen



Khalwati hain tere jamal key hum
Ayene ki tarha sambhal hamen

Marg-e-anbowa jashn-e-shadi hai
Mil gaye dost hasb-e-hall hamen

Ikhtalaf-e-jahan k ranj na tha
Dey gaye maat hum kheyal hamen

Kiya tawaqo kren zamane se
Ho bhee gar jur'rat-e-sawal hamen

Hum yahan bhee nahen hain khush lekin
Apni mehfil se mat nikal hamen

Hum tere dost hain FARAZ magar
Ab na aur uljanon main daal hamen

Past this on: Facebook

No comments:

Post a Comment