Books | Categories

Le urha phir koi kheyal hamen

Le urha phir koi kheyal hamen
Saqia saqia sambhal hamen

Ro rehe hain key aik adat hai
Warna itna nahe malal hamen


Past this on: Facebook

Hum hain zulmat main key ubhra nahe khorsheed ab key


Hum hain zulmat main key ubhra nahe khorsheed ab key
Koi krta he nahe raat ki tardeed ab key

Koi sunta tha hadees-e-ghum dil yun to magar
Hum ne cheri hai tere nam se tamheed ab key


Past this on: Facebook

Main dekh raha tha ke mere yaron ke barh kar


Main dekh raha tha ke mere yaron ke barh kar
Qatil ko pukara kabhi maqtil main sad di

Gahe rasun wo dar k aagosh main jhoole
Gahe haram wo der ki buniyad hila di


Past this on: Facebook

Aur aaj shikasta hoa har tok-e-talai


Aur aaj shikasta hoa har tok-e-talai
Ab fan mera darbar ki jageer nahe hai

Ab mera hunar hai mere jamhoor ki daulat
Ab mera janoon khaif-e-tazeer nahe hai


Past this on: Facebook

Hazoor muskara rehe hain meri baat baat par


Hazoor muskara rehe hain meri baat baat par
Hazoor ko na jane kia guman hai meri zaat par

Hazoor mun se beh rehe hain pek saaf kejiye
Hazoor aap to nashe main hain muaf kejiye


Past this on: Facebook

Teri baten he sunane aye


Teri baten he sunane aye
Dost bhee dil he dukhane aye

Phool khilte hain to hum sochte hain
Tere ane ke zamane aye


Past this on: Facebook

Jin k dam se thin bastina aabad


Jin k dam se thin bastina aabad
Aaj wo log hain kahan aabad

Jal rehe hain hare bhare gulzar
Ghum hoa hai kahan kahan aabad


Past this on: Facebook

Kuch ese hum ne kharabe basaye shehron main


Kuch ese hum ne kharabe basaye shehron main
Jo dasht wale they wo bhee uth aye shehron main

Hamari sada dilli dekhiye keh dhundte hain
Hum apne des ki baten paray shehron main


Past this on: Facebook

Dost jub thehre chaman k dushman-e-jan-e-bahar


Dost jub thehre chaman k dushman-e-jan-e-bahar
Zakham dikhlain kise phir seena chakaan-e-bahar

Nasha ehsas-e-khush waqti ne andha kr dia
Barq bhee chamki to hum samjhe churagan-e-bahar


Past this on: Facebook

Raten hain uddas dik karhe hain

Raaten hain uddas din karhe hain
Aye dil tere hosle bare hain

Aye yaad-e-habib sath dena
Kuch marhale sakhat aa pareh hain


Past this on: Facebook

Shahir

Jis aag se aaj jee jal utha achanak
Pehle bhee mere seene main baidar hoi thi

Jis karb ki shidat se meri ruh hai be-kal
Pehle bhee meri zeest ka aazaar hoi thi


Past this on: Facebook