Dost jub thehre chaman k dushman-e-jan-e-bahar
Zakham dikhlain kise phir seena chakaan-e-bahar
Nasha ehsas-e-khush waqti ne andha kr dia
Barq bhee chamki to hum samjhe churagan-e-bahar
Khoon rulwate hain sub ko apne apne tajurbe
Wo peshman-e-khazan hon ya peshman-e-bahar
Ab ke kuch esi ban k i k hum mahzoor hain
Warna kab phera tha hum ne koi farman-e-bahar
Aye khosha ahed-e-khazan jub naghma perai to thi
Ab to surma'dar guloo hain khoshnawan'yaan-e-bahar
Gar yun he bad-e-saba uthkelian khati phiri
shola-e-gul se bharak uthey ga damaan-e-bahar
Kab hoe dil tang hum zindaan main reh kar bhee FARAZ
Han magar jub aa gai hai yaad yaraan-e-bahar
Past this on: Facebook
No comments:
Post a Comment