Kuch ese hum ne kharabe basaye shehron main
Jo dasht wale they wo bhee uth aye shehron main
Hamari sada dilli dekhiye keh dhundte hain
Hum apne des ki baten paray shehron main
Kuch is tarah se har aik baam o rad ko dekhte hain
Zamane baad jese koi aye shehron main
Suna hai jub bhee luti hai bahar-e-veerana
To chand aur chaman muskaraye shehron main
Kadam kadam pe hoye talkh tajurbe phir bhee
Hamen hayat ke ghum khench laye shehron main
Hawa na do keh ye jungle ki aag hai yaaro
Ajab nahe hai agar phel jye shehron main
FARAZ hum wo ghazalan-e-dashat wo sehra hain
Aseer kar ke log jinhen laye shehron main.
Past this on: Facebook
No comments:
Post a Comment